Monday, November 9, 2009

Audacity

Link for edited song:

http://www.zshare.net/audio/682247972f59ab1f/

Link for original song:

http://www.zshare.net/audio/68225298322d02e3/

Mainay Mass Communication ka selection kyun kiya?


Mass Communication ki field main mera interest shuru say tha, dunya kay badlatay huway haalat ki badolat Mass com ka scope din ba din barh raha hai. Dunya main hamien halaat say bakhabar rehnay kjay liye Media ka sahara lena parta hai, lihaza aaj kay waqt main ham Mass com. ki ehmiyat say inkaar nahin karsaktay. Mainay apnay likhnay likhaanay ki shauq ki waja say Mass com ko apna subject choose kia, aur iss main daakhil honay kay baad meray likhnay likhanay kay shauq ko mazeed taqwiyat mili, kyunkay mass com ka student sunya ko aik alag andaz aur pairaaye main dekhta hai, mass communication ka ilm sirf kitaabi nahin balkay ham apnay ird gird paish aanay waalay ko observe karkay seekhtay hain. Lihaza aaj kay daur main hum Mass com ki ifadiyat say inkaar nahin karsaktay.
Chahay Adiliya bahali ki baat ho, chahay election. Badaltay huway siyaasi halaat per anchor persons kay tabsaray sunnay ko miltay rehtay hain. Unnko daily basis per dekh kar hi mass com parhnay ki lagan meray dil main paida hui aur isi shauq main mainay iss field ka selection kia. :-)

On the day of Eid




Ramzan kay baad Eid ka din ham musalmano'n kay liye Allah ki jaanib say tohfa hota hai, jisko kabhi ham khasay josh-o-kharosh say manatay thay, ab is Eid ko ham sirf rasmi tour per manatay hain..aam tour per sou kar. Kyunkay ab ham josh -o-kharosh say Valentine Day, Mother's day aur Friendship day manatay hain... jitni dilchaspi say ham in dinon ko manatay hain utni hi udam dilchaspi aur boriyat say apnay mazhabi tehwaaron ko celebrate kartay hain, kitnay afosos ki baat hai kay hum khud hi apni iqdaar ko kho rahay hain aur khud apni haqeeqat aur pehchaan ko dafan kar rahay hain. Har mazhab kay maannay waalay apni tehwaaron ko utni hi aqeedat aur ehtraam say manatay hain jitna pehlay manatay thay..laikin musalmanon ka haal ulat hai, khaas kar naujawan nasal ka! Kay woh eid ki chaand raat ko hi saari raat mauj mela kar kay bamushkil eid ki namaz ada kartay hain aur saara din sou kar hi guzartay hain... yeh hamara aam rawwaiya hai aur shayad issmain tabdeeli ya behtri laanay kay liye ham sochtay bhi nahin hain...

14th august hamara youm-e-azadi.. yeh din hamain un bay isaal qurbaniyon ki yad dilate hai jinkay baad aaj hamko azadi ki daulat naseeb hui. Kisi bhi mulk o qaum kay liye azadi say barh kar aur koi cheez eham nahin hoti. Poochiye unn qaumon say jinko yeh daulat mayassar nahin jo aaj bhi azadi say..apni pehchaan say mehroom hain aur jinki kai naslain aaj bhi azadi ki jang lartay lartay khatam horahi hain aur aaj bhi duniya kay saamnay apni azadi ki bheek maang rahi hain. Inn halaat kay saamnay hum tou khush naseeb hain kay hum aik azad mumlikat kay aik azad shehri hain, laikin aik azad shehri ki apnay mulk kay hawalay say kya zimmaydaariyan hoti hain in say ham hamesha hi naa-ashana rehtay hain. 62 saal guzarnay kay bawajood mulk aaj jis haal main hai us haal main na hota agar aik azad mulk ka azad shehri apnay faraiz ko jaanta aur usko ada karta aur kuch tameeri kaam karta, laikin jab bhi baat amal ki aayi ham nay aur ki jaanib hi dekha hai aur you n baatien kartay kartay aur keeray nikaltay nikaltay itnay saal guzar diye. Ab amal ka waqt hai, amli tour per masbat rawwaiya apnanay ka waqt... wo waqt kay jab hum kuch aisa karien jo mulk kay naam-o-waqar ko buland karnay ka baayis banay aur khud ko sacha Pakistani kehlanay ka haq ada karien ...kay yeh watan hai tou ham hain..yeh watan nahin tou ham bhi nahin.

Lihaza iss azadi ki qadar karien aur watan ki salamti aur baqa kay muhafiz banien...

Pakistan Zindabad!

My first rain in University




Barish ka mausam insan kay dil o dimagh ko tazgi ata karta hai is baat per mera yaqeen aaj say pehlay itna kaamil na tha. Kal raat light na honay kay baaiyis mera aaj university janay ka mood na tha magar subah subah mausam ka nikhar dekh kar tabiat friends kay sath is din aur mausam ko enjoy karnay kay luye machal gai.

Lihaza raat ki saari thakan aur neend ki kami ka saara nuqsan aik janib, aur main bohat achay mood kay saath univerosty aa gai. University main na sirf meri class fellows mausam say lutf andoz ho rahi thien blkay meri teachers bhi unkay saath shaamil thein. Sab nay mil kar bearish ka khoob rung jamaya. Khoob games khelay maza kiya aur phir sab nay mil kar chaye pi aur samosay khaye. Iss tarah say yeh din meri memory main hamesha kay liye save hogaya.

JUW main Student's Week


JUW main har saal ki tarah iss saal bhi Student’s week nihayat josh o kharosh say manaya gaya aur students ko bharpoor tafreeh mananay ka mauqa faraham kiya gaya. Meray khayal say talibaat kay liye zaroor iss tarah kay mauqay faraham karnay chahiyen. Parhai kay saath saath students week bhi talibat ki zehni salahiyaton ko ujagar karnay main bara kirdar ada karta hai. Iss saal main nay bhi student’s week ko bharpoor enjoy kiya, khas kar melay waalay din bohat maza aaya. Issmain main nay apni friends kay saath stall lagaya, wesa doston kay saath guzra har pal hi khush gawar hota hai aur guzar janay kay baad yadgar hotay hain, lihaza is tarah ki changes kafi achi hoti hain kyunkay pooray saal parhtay parhtay jo thakan dil o dimagh per sawar hojati hai us thakan ko dour karnay kay liye student’s week aik khush gawar jhonkay ki manind hota hai.