Monday, November 9, 2009
Audacity
Mainay Mass Communication ka selection kyun kiya?

On the day of Eid

My first rain in University

Barish ka mausam insan kay dil o dimagh ko tazgi ata karta hai is baat per mera yaqeen aaj say pehlay itna kaamil na tha. Kal raat light na honay kay baaiyis mera aaj university janay ka mood na tha magar subah subah mausam ka nikhar dekh kar tabiat friends kay sath is din aur mausam ko enjoy karnay kay luye machal gai.
Lihaza raat ki saari thakan aur neend ki kami ka saara nuqsan aik janib, aur main bohat achay mood kay saath univerosty aa gai. University main na sirf meri class fellows mausam say lutf andoz ho rahi thien blkay meri teachers bhi unkay saath shaamil thein. Sab nay mil kar bearish ka khoob rung jamaya. Khoob games khelay maza kiya aur phir sab nay mil kar chaye pi aur samosay khaye. Iss tarah say yeh din meri memory main hamesha kay liye save hogaya.
JUW main Student's Week

JUW main har saal ki tarah iss saal bhi Student’s week nihayat josh o kharosh say manaya gaya aur students ko bharpoor tafreeh mananay ka mauqa faraham kiya gaya. Meray khayal say talibaat kay liye zaroor iss tarah kay mauqay faraham karnay chahiyen. Parhai kay saath saath students week bhi talibat ki zehni salahiyaton ko ujagar karnay main bara kirdar ada karta hai. Iss saal main nay bhi student’s week ko bharpoor enjoy kiya, khas kar melay waalay din bohat maza aaya. Issmain main nay apni friends kay saath stall lagaya, wesa doston kay saath guzra har pal hi khush gawar hota hai aur guzar janay kay baad yadgar hotay hain, lihaza is tarah ki changes kafi achi hoti hain kyunkay pooray saal parhtay parhtay jo thakan dil o dimagh per sawar hojati hai us thakan ko dour karnay kay liye student’s week aik khush gawar jhonkay ki manind hota hai.