
14th august hamara youm-e-azadi.. yeh din hamain un bay isaal qurbaniyon ki yad dilate hai jinkay baad aaj hamko azadi ki daulat naseeb hui. Kisi bhi mulk o qaum kay liye azadi say barh kar aur koi cheez eham nahin hoti. Poochiye unn qaumon say jinko yeh daulat mayassar nahin jo aaj bhi azadi say..apni pehchaan say mehroom hain aur jinki kai naslain aaj bhi azadi ki jang lartay lartay khatam horahi hain aur aaj bhi duniya kay saamnay apni azadi ki bheek maang rahi hain. Inn halaat kay saamnay hum tou khush naseeb hain kay hum aik azad mumlikat kay aik azad shehri hain, laikin aik azad shehri ki apnay mulk kay hawalay say kya zimmaydaariyan hoti hain in say ham hamesha hi naa-ashana rehtay hain. 62 saal guzarnay kay bawajood mulk aaj jis haal main hai us haal main na hota agar aik azad mulk ka azad shehri apnay faraiz ko jaanta aur usko ada karta aur kuch tameeri kaam karta, laikin jab bhi baat amal ki aayi ham nay aur ki jaanib hi dekha hai aur you n baatien kartay kartay aur keeray nikaltay nikaltay itnay saal guzar diye. Ab amal ka waqt hai, amli tour per masbat rawwaiya apnanay ka waqt... wo waqt kay jab hum kuch aisa karien jo mulk kay naam-o-waqar ko buland karnay ka baayis banay aur khud ko sacha Pakistani kehlanay ka haq ada karien ...kay yeh watan hai tou ham hain..yeh watan nahin tou ham bhi nahin.
Lihaza iss azadi ki qadar karien aur watan ki salamti aur baqa kay muhafiz banien...
Pakistan Zindabad!
No comments:
Post a Comment