
Ramzan kay baad Eid ka din ham musalmano'n kay liye Allah ki jaanib say tohfa hota hai, jisko kabhi ham khasay josh-o-kharosh say manatay thay, ab is Eid ko ham sirf rasmi tour per manatay hain..aam tour per sou kar. Kyunkay ab ham josh -o-kharosh say Valentine Day, Mother's day aur Friendship day manatay hain... jitni dilchaspi say ham in dinon ko manatay hain utni hi udam dilchaspi aur boriyat say apnay mazhabi tehwaaron ko celebrate kartay hain, kitnay afosos ki baat hai kay hum khud hi apni iqdaar ko kho rahay hain aur khud apni haqeeqat aur pehchaan ko dafan kar rahay hain. Har mazhab kay maannay waalay apni tehwaaron ko utni hi aqeedat aur ehtraam say manatay hain jitna pehlay manatay thay..laikin musalmanon ka haal ulat hai, khaas kar naujawan nasal ka! Kay woh eid ki chaand raat ko hi saari raat mauj mela kar kay bamushkil eid ki namaz ada kartay hain aur saara din sou kar hi guzartay hain... yeh hamara aam rawwaiya hai aur shayad issmain tabdeeli ya behtri laanay kay liye ham sochtay bhi nahin hain...
No comments:
Post a Comment