
Aik saal kay intezar kay baad hum ramzan ki barkaton say luft andoz ho rahay hain...
Mere nazdeek Ramzan ka mahina Allah ki taraf say ata karda woh muqaddas tohfa hai jab hum Allah kay bohat nazdeek hotay hain aur iski ata karda naimaton say lutf andoz hotay hain, aaj 6 Ramzan hai aur MashaAllah say guzishta 5 rozay Ramzan kay pooray taqqaddus aur ehtiraam kay saath guzray aur InshaAllah aanay waalay rozay achay hi guzraingay. Garmi ka asar zyada hai, aur aanay waalay waqt main roza balashuba sakht hoga. :)